Nazm : Intezaar

NAZM : INTEZAAR
Dr.AHMAD ALI BARQI AZMI

Gulbadan ghunch dahan zohra jabeen rashk e qamar

Lalah ru , maahlaqa,ghairat e sad lal o guhar

Aye meri jan e ghazal, aye meri manzoor e nazar

Ilteja tujhse yahi hai meri ba deeda e tar

Aa ki har lamha teri yaad mein jalta hai jigar

Aye meri jaan e ghazl aye meri manzoor e nazar

Hai tere dam se mere gulshan e hasti mein bahaar

Tu jo aa jaaye mera ghar ho gulistab bakenaar

Qabil e deed hai tere rukh e gulgoon ka nikhaar

Teri furqat mein nahin hai mujhe ek lamha qaraar

Mujhse milne mein too ab bahr e khuda der na kar

Aye meri jaan e ghzal aye meri manzoor e nazar

Hai tere gesu e mushkin se faza itar badosh

Tere dilkash lab o rukhsaar hain gharatgar e hoosh

Main hoon mushtaq e mulaqat basad josh o kharosh

Tujhse milne ki tamanna mein hai way eh aaghosh

Aa bhi jaa meri tamannaon ka ab khoon na kar

Aye meri jaan e ghazal aye meri manzoor e nazar