A TOPICAL URDU POEM ON FRIENDSHIP DAY:AHMAD ALI BARQI AZMI
DOSTI KA KAREIN NA KYON IZHAR
JIS SE HAI BAGH E ZINDAGI MEIN BAHAR
DOSTI SE HAIN AHL E DIL SARSHAR
KYON NA IS KI FIZA KAREIN HAMWAR
GAR MELEIN TO KHULOOS E DIL SE MILEIN
DOSTI KO BANEIN MAT VYAPAR
JAZBAH E DOSTI KO AAM KAREIN
JIS PE HAI SULH O AASHTI KA MADAR
CHAR DIN KI HAI CHANDNI SAB KUCHH
MAHASAL ZINDAGI KA HAI BAS PYAR
MEHR O ULFAT HAI MISL E GHAZAH E HUSN
PYAR SE HUSN E ZINDAGIKO SANWAR
CHASHM E BATIN SE DEKH AYE BARQI
HAR TARAF PYAR KE HAIN NAQSH O NIGAR