Kaif o masti se haiN sarshaar tumhaari aankheiN
Deti haiN daawat e deedaar tumhari aankheiN
Ho gaii salb usi din se meri taqat e sabr
Mujh se jis din se hueiN chaar tumhari aankheiN
un se roshan hai meri shama e shabistaan e hayaat
haiN meri munis o ghamkhwar tumhari aanheiN
Dekhta rahta hooN maiN saakit o saamit un ko
Hoti haiN jab kabhi khoonbaar tumhari aankheiN
Deti haiN izn e safar mujh ko bayak jumbish e chashm
HaiN mere waqt ki raftaar tumhaari aankheiN
MaiN kahoon ya na kahooN ahl e nazar par hai ayaaN
Hasrat e dil ka haiN izhaar tumhari aankheiN
Khol kar jalwah gah e naaz meiN dar wazah e dil
Dil pe karti haiN mere waar tumhari aankheiN
Lazzat e kaam o dahan sab ke liye haiN yaksaaN
Ba’is e garmi e baazaar tumhari aankheiN
Aatash e rask meiN jal bhun ke huii hai andhi
Dekh kar nargis e bimaar tumhaari aankheiN
Rooh farsa hai judaaii ka tasawwur Barqi
Karti haiN khwab se bedaar tumhari aankheiN