Ghazal For Mushaira "BARKHA BAHAAR” By Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e bahaar
Aaise mein sabar aazma hai mujhko tera intezaar

Aa gaya hai barishon mein bheeg kar tujh par nikhaar
Hai nehaayat rooh parwar teri zulf e mushkbaar

Jalwah gaah e husn e fitrat hai yeh dilkash sabzah zaar
Sab se badh kar meri nazron mein hai lekin husn e yaar

Zindagi bekaif hai mere liye tere baghair
gulshan e hasti mein mere tere dam se hai bahaar

Hai judaai ka tasavvur aise mein sohaan e rooh
aa bhi ja jaan e Ghazal mausam hai behad khushgawaar

Ghunchah o gul hans rahe hain ro raha hai dil mera
Imtehaan leti hai mera gardish e lail o nahaar

Saaz e fitrat par ghazalkhwan hai bahaar e jaan fiza
Kaif o sarmasti se hain sarshaar BARQI barg o baar

Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi